Aaj kal bohot aam hai k log mobile k zariye sms karke ya e.mail k zarye durud pak ya aayat bhej kar uske sath shart laga detein hai, eg. saath logo ko forward karein toh bohot badi khush khabri milegi, aur nai karenge toh koi buri khabar milegi...jab ye ek alim deen mufti SAHAB se daryaft kiya gaya toh unhon ne iske baare mein farmaya k aisa karna HARAM hai. Allah Talaa aur uske pyare bandhon k saath jhut bandhna yakinan haram aur gunah ka kaam hai.aap agar bina kisi shart k frwd karne ko keh rahein hain toh wo ek NEK kaam hai, toh khoob durud pak aur hadees frwd kijiye magar uske sath aisa koi jhut shamil na kijiye k wahi kaam jo aap neki ki niyat se kar rahe hain Akhirat mein gunah ka bayis ban jaye.
IS MASLEH KO FRWD KIJIYE AUR LOGON KO GUNAH SE BACHAYIYE...KYUNKI EK SAWAL TOH ZARUR HOGA AKHIRAT MEIN K JAB TUMHE THIK BAAT PATA THI TOH LOGON TAK KYUN NAI PAHAUNCHAI
No comments:
Post a Comment